Blogging kya hai aur Blogger se kya faayde hai ?

Jaise ki agar aap internet user hai, toh aapne aksar kisi bhi information ke liye google me search kiya hoga, toh jo article aapke samne aate hai. Unko hum blog kahte hai.

blog-pic

Toh aaj ke is article me hum aapko batane ja rahe hai ki :

Blog kya hai ?
Blog ke kya kya faayde hai ?
Toh chaliye shuru karte hai :

Blog kya hai ?

Blog ek parkar ka platform hai jis par aap kis bhi subject par ( Ex – Education, Online Services, Govt. Competition, Interviews etc) apne article ya posts ko likh kar online publish kar sakte ho.

Na sirf in particular subjects par balki aapek apne personal interests, daily routine par bhi posts likh kar publish kar sakte ho.

Ye thik waisa hi hai , jaise log purne zamane me daily apne saare incidents ek dairy me likha karte thy, lekin fark sirf itna hai ki pehle inko koi dekh nahi pata tha, aur ab poori duniya aapki post ko dekh sakti hai.

Phir chahe wo kisi bhi language me kyu na ho.

Blogging ke faayde :

Blogging karne se aapko bhut se faayde ho sakte hai, jisse aapki personality bright hoti hai.
Jab aap alag alag tarike ke log se baat karte hai toh, isse aapki communication skill improve hoti hai.
Apko different subjects ki knowledge hoti hai.
Jab bhi aap logo se communicate karte ho toh, aapki language improve hoti hai.
Blog par aane wale comment ke jariye, aap ye pata laga sakte ho ki, logo ki demand kya hai aur wo kya kya puchna chahte hai ya unki problems kya hai.
Blog ke jariye aap online bhut paise bhi kama sakte hai.
Blog bana kar aapne offline business ya service ki publicity bhi kar sakte hai.
Toh ye thy blog ke kuch faayde, jinse aap blog bana kar bhut se kaam kar sakte hai.

Agar aapko blog ke baare me aur detail me jaanna hai toh aap humari blogging series ko follow kar sakte hai.

Thank you.

Leave a comment

Create a free website or blog at WordPress.com.

Up ↑